Yaha na der hai, na andher hai
Na her hai na pher hai
Sirf Hansi hai, Mazaak hai
Aur Kiran Kher hai!
Na her hai na pher hai
Sirf Hansi hai, Mazaak hai
Aur Kiran Kher hai!
Haadso ke shahar mein, Haadso se darta hai
Mitti ka khilona hai, Fanaa hone se darta hai
Mere dil ke kisi kone mein, Ek masoom sa bachcha hai
Bado ki dekhke yeh duniya, Bada hone se darta hai
Mitti ka khilona hai, Fanaa hone se darta hai
Mere dil ke kisi kone mein, Ek masoom sa bachcha hai
Bado ki dekhke yeh duniya, Bada hone se darta hai
Chali jaati hai aaye din wo, beauty parlour mein yun
Unka maksad hai, misaal-e-hoor ho jaana
Magar yeh baat, kisi begum ke samjh mein kyun nahin aati
Ki Mumkin nahin hai, Kismis ka phir se Angoor ho jaana
Unka maksad hai, misaal-e-hoor ho jaana
Magar yeh baat, kisi begum ke samjh mein kyun nahin aati
Ki Mumkin nahin hai, Kismis ka phir se Angoor ho jaana
Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Aap jab hansti hain huzurewala janab-e-aali
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Aap jab hansti hain huzurewala janab-e-aali
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai
Suraj hoon zindagi ki chamak chhod jaunga
Phir laut aane ki khanak chhod jaunga
Main sabki aankho se aansu sametkar
Sabke dilo mein apni jhalak chhod jaunga
Phir laut aane ki khanak chhod jaunga
Main sabki aankho se aansu sametkar
Sabke dilo mein apni jhalak chhod jaunga
No comments:
Post a Comment