Showing posts with label Navjot Singh Sidhu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Navjot Singh Sidhu Shayari. Show all posts

Tuesday, December 31, 2013

Sidhu Paji Shayaris in Comedy Night with Kapil with pictures, Bittoo shayari, Gutthi funny jokes, Baba ji ka thullu Sms etc.

Chalo Safar mein Rut hai suhaani, Chennai Express
Begum aur Badshaah ki kahani, Chennai Express
Ishq ka kaaba, Husn ki Mathura, Prem ke 2 minar
Paigam-e-muhabbat Sabki Jubaani, Chennai Express

Ishq walo ko husn ka jawab aaya hai
Sitaro ke sath chalke, chand-e-mehtab aaya hai
Apne dil ki dhadkano ko thaam ke rakho Guru
Aaj kapil ki mehfil me Deepika naam ka Inqlaab aaya hai

  

जो मेहबूब को देख के जोर जोर से धड़के,
उसे दिल कहते हैं..
और जो उस दिल को हंसा के खुश करे,
उसे कपिल कहते हैं|


Upar Wale Teri Maya, Kahin dhup kahin chaya
Aaj Kareena aayi,Sath me Imran Kyuo Aaya


Guthi: Lambi Umar Jeene Ke Liye Kya Trick Hai?
Kapil: Shadi Kar Lo!
Iske 2 Fayade Honge..
Lambi Zindagi Jeene Ki Ichha Hi Khatam Ho Jayegi
Aur Bachi Hui Umar Bhi Lambi Lagne Lage Gi!

Siyasat ki mandi badi nasheeli hai
Iss mandi me sabne madira p li hai
Kamarbandh pukhta hain sirf dalalo ke
Aam aadmi ki dhoti to yaaro dheeli h


Ameer aadmi hota hai beemar
to jata hai london paris or sydney
Aur gareeb ho jaaye beemar
to Haspatal mein gayab ho jaati hai uski Kidney

Latest and the Best Sidhu Shayari Collections For Celebrities in Comedy Night with Kapil (Paani ki boond kahin tikti nahin)

Paani ki boond kahin tikti nahin
aur imaandari mujhe kahin dikhti nahin
Khariddaaro ki mandi mein khada hai siddhu
Jitni marzi boli laga,
Kuchh cheezein aisi hai jo bikti nahin!


Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Tum jab gaate ho comedy king Kapil
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai


Ek karwa hum apne sath lekar aaye hain
Na mandap hai, na ghodi hai
Phir bhi khushiyo ki baarat
sath mein lekar aaye hain



Zindagi apne aap mein hi ek nasha hai
Arey ladkhada ke jeene mein kya maza hai


Jung mein hathiyar nahin, Jigra kaam aata hai
Zindagi mein paisa nahin, Hunar kaam aata hai
Yun to kayi naam aate hain meri zubaa par
Lekin sangeet ka zikr ho, to anu malik ka naam aata hai

Sidhu Shayaris for celebrities Sms, Text messages in Hindi 140 words with pictures (Rulana kitna aasan hai aur hansana kitna Jatil Aur jo roto ko hansa de Aisa hai apna Kapil )

Rulana kitna aasan hai
aur hansana kitna Jatil
Aur jo roto ko hansa de
Aisa hai apna Kapil


Dua hai aapki Hasti ka
Kuchh aisa nazara ho jaaye
Kashti bhi utaare maujon pe
Tufaan hi kinara ho jaaye


Agar apni taraf dekhein
to kuchh nahin palle
Par aisi sangat ko dekhein
To iss mehfil ki balle hi balle


Jis tarah aag ke dhero ko koi kha nahin sakta
prithvi ko uncha utha nahin sakta
Sagaro ko jaise koi Sukha nahin sakta
Parvat Himalaya Jaise koi Hila nahin sakta
Suryadev ko foonk maar bujha nahin sakta
Usi tarah, Hindustan mein rehti kayanaat tak
Shahrukh Khan ki taakat ko koi Daba nahin sakta!!


Sidhu ji Shayari on Comedy Night with Kapil Thokko Thokko Shayaris (Yaha na der hai, na andher hai Na her hai na pher hai)

Yaha na der hai, na andher hai
Na her hai na pher hai
Sirf Hansi hai, Mazaak hai
Aur Kiran Kher hai!


Haadso ke shahar mein, Haadso se darta hai
Mitti ka khilona hai, Fanaa hone se darta hai
Mere dil ke kisi kone mein, Ek masoom sa bachcha hai
Bado ki dekhke yeh duniya, Bada hone se darta hai


Chali jaati hai aaye din wo, beauty parlour mein yun
Unka maksad hai, misaal-e-hoor ho jaana
Magar yeh baat, kisi begum ke samjh mein kyun nahin aati
Ki Mumkin nahin hai, Kismis ka phir se Angoor ho jaana


Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Aap jab hansti hain huzurewala janab-e-aali
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai

Suraj hoon zindagi ki chamak chhod jaunga
Phir laut aane ki khanak chhod jaunga
Main sabki aankho se aansu sametkar
Sabke dilo mein apni jhalak chhod jaunga

Sidhu paji Comedy Night with Kapil Shayari in Hindi (O Bua Jis tarah tere abhi tak byaah nahin hua,)

Angoor Pighalta hai, to sharaab ho jaati hai
Chingari bhadkti hai to aaftaab ho jaati hai
Jab sunta hun zamaane mein naam Mikke ka
To Siddhu ki Chhati phool ke Punjab ho jaati hai



Jo dil mein aaye, yeh banda bechhoot karta hai
Prem ke hathiyar se dilo pe loot karta hai
Ise dekh kar kaha hai Bachchan sahab ne
Chumma chumma wala gaana Mika pe suit karta hai


Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Tum jab gaate ho comedy king Kapil
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai



O Bua
Jis tarah tere abhi tak byaah nahin hua,
Uss tarah yeh satta aur jua bhi kisi ka nahin hua,
Chhod de taash aur juaa,
Milegi Duaa, Kapil ki Buaa!

Navjot Singh Sidhu Shayari text messages (iss show ka takiya kalam hain yaha koi aawat hain, koi jawat hain)


Poornima ka chand pe daag hote hain
Wo pooja nahin jaata, Lekin
Dooj ka chand mukkammal hota hai
Bagair daag wo poojniya hai..
Mere liye. upar bhagwan aur bollywood me Irrfan!

Har din dukhi mann mein,
Umang tumhe bharni hai
Har aashaheen hridaya mein,
tarang tumhe bharni hai
Mahabharat, har yug ki atal jaroorat hai
Ban ke Arjun, D-Day mein,
Sachchai ki jung tumhe ladni hai

Huzoorewala
Shero ke aage bhede kya hain
Ik madmata khajaa hai
Baaki saari duniya prajaa,
Sher akela raaja hai!
ek baat pakki hai,
jis film mein imran aur akki hai,
us film ka hit hona nakki hai

iss show ka takiya kalam hain
yaha koi aawat hain, koi jawat hain
jo khul ke saamne aaye
wahi mallika sherwat ha



Navjot Sidhu Nice Shayaris Collection in Hindi (Hansi na mehengi hai, Na hansi sasti hai)

Hansi na mehengi hai, Na hansi sasti hai
iss hansi mein hi saari duniya basati hai
iss hansi ko, hansi samjhke na udaa dena dosto
ladki bhi tabhi fansti hai, jab hansti hai!!


Aakash ki koi seema nahin
Prithvi ka koi tol nahin
Saadhu ki koi jaat nahin
Aur paras ka
koi tol nahin, koi mol nahin

Jaa rahe hain lekin laut ke aate rahein
Hasya ki mehfil sajaate rahein
Paise to hum sab ne kamaye hain bahut
hindustan ki duaaein kamate rahein


Siyasat ki Pitch pe bhi ajeeb khel hota hai
Criminal ko Bail aur Imaandar ko Jail hota hai
Ab to yeh haalat ho gayi hai iss desh mein doston
Ki Pappu pass hota hai aur Lokpal fail hote hai

Jisne ki Uss Prabhu ki Seva
Use Mile Mahadeva
Jisne ki iss Prabhu ki seva
Use mila Nritya ka Mewa with Prabhudeva

Hansi ke chaman mein
Khushiyo ke phool sajaate raho
Aaj aaye hain yaha Ravi aur Tusshar
Inke liye Band bajaate raho!!

Sidhu Paji Shayari in Comedy Nights with Kapil for Celebrities text message with pics in Hindi fonts 140 character

प्रेम परिचय को पहचान बना देता है
वीराने को गुलिस्तां बना देता है
मैं आप बीती कहता हूँ धरम पाजी
प्रेम इंसान को भगवन बना देता है!!

बॉलीवुड के गुलिस्तां में जाके देखा
ना तेरे जैसी रंगत है
ना तेरे जैसी खुश्बू है…
ठोको ताली!!

हंसी ना महंगी है, ना हंसी सस्ती है
इस हंसी में ही सारी दुनिया बसती है
इस हंसी को, हंसी समझके ना उड़ा देना दोस्तों
लड़की भी तभी फंसती है, जब हंसती है!!


आकाश की कोई सीमा नहीं
पृथ्वी का कोई तोल नहीं
साधू की कोई जात नहीं
और पारस (सुनील शेट्टी) का
कोई तोल नहीं, कोई मोल नहीं

Navjot Singh Sidhu Shayari Collections in Comedy Night with Kapil, babaji ka Thullu, ittu sa tha, Gutthi Palak sms in Hindi funny

Sher Chala Karte Hai
Khuddar Chala Karte Hain
Sar Utha Ke Kaum Ke 
Sunny Deol Jaise Sardar Chala Karte Hain!

 
Siyaasat Ki Mandhi Badi Hi Nasheeli Hai
Issi Mandi Mein Sabney Madiraa Pi Li Hai
Sirf Dalaalo Ke Kamarbandh Pukhta Hain
Aam Aadmi Ki Dhoti Toh Yaaro Dheeli Hai!
Thoko Tali!!


Gulaboo Ki Kushboo,Diware Rok Nahi sakti
Hawaoo Ka Bahar ,Minare Rok Nahi Sakti,
Bulando Hausle Hi Jivan Ki Haqikat Hai,
Fauladon Ki Raftatar,Takdiren Rok Nahi Sakti..!



Hamne Bandhane Ko Tod Diya,Hamne Sare Riste Nate Se Munh Mod Liya Hai,
Jab Se  Dekha Hai guru ,Hamne Apni Saa Ko,
Hamne Bhoot Pret Se Darna Chod Diya...!


Phir aaj koi ban ke yahn mehman aaya hai,
Husan ke duniya se ishq ka paigam aaya hai,
Aur Gori ke pyar me,Hoke diwana dekho,
kareena ke pichu pichu imran  Aaaya hai...!


Ishq ki dastan me aksar aise kisse hote hain
Kwab me ap ati hain,Ankh khulati hai to biwi ke sath hote hain..!